Hazrat Daniyal (peace be upon him) said: If someone sees in a dream that they are prostrating to fire, it is a sign that they will prostrate to a tyrant king and become engaged in his service, but will not succeed in pleasing him.
If one sees that they are prostrating to an oven, fire, or lamp, it means they will be busy in the service of women.
And if one sees that they are kissing or showing reverence to fire, it is a sign that they will become an informer for the king.
If one sees themselves being humiliated in the fire, it indicates they will be interested in the king’s trade, but the outcome will not be good — especially if the fire causes harm to their body.
However, if the fire does not cause bodily harm, it is a sign that the person will see safety and inner peace from the ruler.
If one sees themselves entering into fire in a dream, it indicates that they will benefit greatly from the king.
If one sees that fire is giving light from their face, clothes, or hands in such a way that people are amazed by its radiance, it means they will triumph over their enemies and attain their goals in both worlds.
Allah Almighty has said:
“Insert your hand into your collar; it will come out white without any blemish.”
This was a miracle of Prophet Musa (Moses, peace be upon him) shown before Pharaoh.
Hazrat Ismail Ash’ath (may Allah have mercy on him) said: If someone sees in a dream that they are worshiping fire, it indicates that they will seek closeness to kingship.
And if the fire appears in the form of embers, then their intention will be to collect wealth through religious means.
Khwab mein Aag ki pooja karna
Aatish Parast (Aag Ka Poojna)
Hazrat Daniyal Alaihissalam ne farmaya hai ke agar koi shakhs khwab mein dekhe ke aag ko sajda karta hai to is amar ki daleel hai ke zalim badshah ko sajda karega aur uski khidmat mein mashghool ho ga aur usko raazi na kar sakega.
Aur agar dekhe ke tanur ya aag ya chiragh ko sajda karta hai to daleel hai ke auraton ki khidmat mein mashghool ho ga.
Aur agar dekhe ke aag ko choomta aur bosa deta hai to daleel hai ke badshah ka mukhbir ho ga.
Agar dekhe ke aag mein khwaar ho raha hai to daleel hai ke badshah ki sodagari ki raghbat karega, lekin natija acha na ho ga, khaaskar agar aag se jism ko takleef pohanchay.
Aur agar aag se jism ko takleef na pohanchay to daleel hai ke salaamti aur jam’iyat-e-khatir badshah waqt se dekhega.
Aur agar khwab mein aag ke andar chala jaye to daleel hai ke badshah se is qadar faida uthaye ga.
Agar khwab mein dekhe ke aag uske chehre ya kapray ya haath se roshni deti hai, chunancha log uske noor se hairaan ho jaayein, to daleel hai ke dushman par fatah aur dono jahan ki muraad paaye ga.
Farman-e-Haq Ta’ala hai: “Wa adkhil yadaka fi jaybika takhruj bayzaa’a min ghayri soo’in”
(“Apna haath gareban mein daalo, safed aur be-ayb niklay ga”)
Aur yeh mojiza Hazrat Musa Alaihissalam ka Fir’oun ke muqable mein tha.
Hazrat Isma’il Ash’ath Rahmatullah Ta’ala Alaih ne farmaya hai ke agar koi shakhs khwab mein dekhe ke aag ko poojta hai to daleel hai ke shahi baazdari karega.
Aur agar aag angari ki shakal par hai to uski gharz deen se maal ka jama karna ho ga.
[…] Worshiping Fire in Dream – خواب میں آگ کی پوجا کرنا […]