Hazrat Ibn Sirin (may Allah have mercy on him) said: Seeing a fire spark (flame/spark) in a dream is a sign of something bad that will happen to the dreamer. If countless sparks fall on him, it is a sign he will fall into severe hardship and toil.
Hazrat Kirmani (may Allah have mercy on him) said: If one sees sparks of fire falling in a city or street, it means war and chaos will rise in that area. And if the sparks are very large, it means the punishment of Allah Almighty will fall upon him or that place.
As Allah Almighty said:
“Indeed, it throws sparks as huge as castles — as if they were yellow camels.” (Surah Al-Mursalat)
If one sees sparks falling among people, it indicates fighting and conflict in that place. Throwing fire and slipping on fire symbolizes excessive cursing.
Hazrat Jabir Maghribi (may Allah have mercy on him) said: If one sees fire in his hand, it means he will be involved in royal/state affairs. And if he sees smoke with the fire, it indicates fear in his work.
If one sees that fire in his hand becomes cold, it means he will gain unlawful wealth in service to the king. If he gives a piece of that fire to others, it means his actions will bring grief and loss to people, and they will become his enemies.
And if he cooks food over fire and eats it, it means he will hear good and kind words from people.
Hazrat Ja’far Sadiq (may Allah have mercy on him) said: Seeing fire in a dream has 25 possible meanings:
- Discord
- War
- Corruption
- Fear
- Conflict
- Bad speech
- Hindrance from work
- King’s anger
- Punishment
- Hypocrisy
- Irreligiousness
- Knowledge and wisdom
- Guidance
- Calamity
- Compassion
- Burning
- Service of the king
- Plague
- Meningitis
- Blister
- Success in matters
- Virtue
- Forbidden wealth
- Livelihood
- Profit
Khwab main Aag ka sharara dekhna
Hazrat Ibn-e-Sireen Rahmatullah Alaih ne farmaya hai ke khwab mein sharara-e-aatish dekhna buri baat hai jo usay pohanchay gi. Agar aag ke shararay us par be-qayas parain to daleel hai ke mehnat aur bala-e-sakht mein giraftar hoga.
Hazrat Kirmani Rahmatullah Alaih ne farmaya hai ke agar dekhe ke sheher ya koocha mein aag ke shararay girte hain to daleel hai ke us jagah jang aur fitna uthay ga. Aur agar aag ke shararay bohot baray baray dekhe to daleel hai ke azaab-e-Khuda Ta’ala usay ya us moza ko pohanchay ga.
Farman-e-Haq Ta’ala hai:
“Innaha tarmi bi-shararin kal-qasr ka annahu jimalat-un-safr”
(Goya aag ke shararay phenkti hai, mahal ke barabar; goya ke woh zard oont hain.)
Agar dekhe ke aag ke shararay logon mein girte hain to daleel hai ke us jagah jang aur jhagra hoga. Aag daalna aur aag se phisalna, bohot gaaliyan dena hota hai.
Hazrat Jabir Maghribi Rahmatullah Alaih ne farmaya hai ke agar dekhe ke haath mein aag ka tukra hai to daleel hai ke badshahi kaam mein mashghool hoga. Aur agar aag ke saath dhuaan dekhe to kaam mein khauf ki daleel hai.
Agar khwab mein dekhe ke aag uske haath mein sard ho gayi hai to daleel hai ke badshah ki khidmat mein maal-e-haram haasil karega. Aur agar dekhe ke is aag mein se aik tukra aur logon ko deta hai to daleel hai ke us ke fa’l se logon ko ranj aur nuqsan hoga, aur log uske dushman ho jaayenge.
Aur agar aag par khanay ki cheezein pakae aur khaye to daleel hai ke logon se achi achi baatein sunega.
Hazrat Jafar Sadiq Rahmatullah Alaih ne farmaya hai ke khwab mein aag ka dekhna pachees (25) wajah par hai:
- Fitna
- Jang
- Fasaad
- Khauf
- Khasoomat (ladai jhagra)
- Buri baatein
- Kaam se mana
- Badshah ka ghussa
- Azaab
- Nifaaq (be-raahi)
- Be-deeni
- Ilm aur hikmat
- Hidaayat ka raasta
- Museebat
- Taras
- Jalna
- Khidmat-e-badshah
- Ta’oon (plague)
- Sarsam (meningitis)
- Aabla (blister)
- Kushadgi-e-kaar (kaam ka asani se chalna)
- Fazeelat
- Maal-e-haram
- Rozi
- Nafa’