Flour (Aaata) in a dream indicates lawful wealth and blessings that will be obtained without hardship.
Hazrat Daniyal (A.S.) said: If one sees flour falling like snow from the sky, it means he will receive lawful wealth and blessings from an unexpected source.
Hazrat Ibn Sireen (R.A.) said: Barley flour signifies religion, and wheat flour represents wealth and riches acquired through trade, bringing great profit. Millet flour indicates limited wealth.
Hazrat Jabir Maghribi (R.A.) said: If one sees himself selling flour in a dream, it indicates he is selling his religion in exchange for worldly gains.
Khwaab main Aaata Dekhna
Aard, yaani aata, khwab mein dekhna maal aur ne’mat-e-halaal ki daleel hai jo baghair ranj ke haasil hogi.
Hazrat Daniyal Alaihissalaam ne farmaya hai ke agar dekhe ke aata barf ki manind hawa se aata hai to iski daleel hai ke itna zyada maal aur halaal ne’mat milegi jahan se umeed bhi nahi thi.
Hazrat Ibn-e-Sireen Rahmatullah Alaih ne farmaya hai ke jo (jau) ka aata deeni faida hai, aur gandum ka aata maal o dolat hai jo tijarat se haasil hoga, aur usmein bohat faida hoga. Bajray ka aata kam maal ki nishani hai.
Hazrat Jabir Maghribi Rahmatullah Alaih ne farmaya hai ke agar koi khwab mein apne aap ko aata bechta hua dekhe to ye is baat ki daleel hai ke woh apna deen dunya ke badlay farokht karega.
[…] Flour in Dream – خواب میں آٹا دیکھنا […]