Hazrat Daniyal (peace be upon him) said: “If someone sees themselves in the first heaven in a dream, it indicates that their death is near. If they see themselves in the second heaven, it indicates they will acquire knowledge and wisdom. If they see themselves in the third heaven, it indicates they will gain honor and success in the world. If in the fourth heaven, it means they will become a close friend of the king. If they see themselves in the fifth heaven, it means they will experience awe, fear, and dread. If in the sixth heaven, then it means love, mercy, and fear will come upon them. If they see themselves written on the sixth heaven, then it means they will obtain fortune, wealth, and goodness.
If one sees themselves in the first heaven and finds the door closed, it means their affairs will be hindered due to a noble man. If they see they are unable to look at the sky and have their head lowered, it means they will be separated from seeing a noble man. If they see angels descending from the sky and passing by them, it indicates that the doors of knowledge and wisdom will be opened to them.
Hazrat Ibn Sirin (may Allah have mercy on him) said: If someone sees themselves in the sky, it indicates they will travel and gain worldly honor. If they see themselves flying in the sky, it indicates they will travel with blessings and grace. If they see themselves flying directly towards the sky, it means they will experience loss and sorrow.
If they see they went to the sky with the intention of never returning to the earth, it means they will achieve greatness and kingship and perform a great task. If they hear a voice or sound from the sky, it indicates good and peace. If they see a bird speaking to them from the sky, it indicates they will remain happy and content.
Hazrat Kirmani (may Allah have mercy on him) said: If someone sees in a dream that they are building a structure in the sky as one builds on earth, it means their death is near. If they see that they are building in the sky with bricks and clay like a worldly foundation, it indicates the dreamer will be excused from the world. If they see intense rain falling from the sky, it indicates people will obtain goodness, blessings, and bounty. If they see dust or sand falling from the sky, little is good; much is bad. If they see scorpions, snakes, or stones falling from the sky, it indicates divine punishment will descend on that region. If they see themselves hanging from the sky, it indicates their rank will be elevated.
Hazrat Jabir Maghribi (may Allah have mercy on him) said: If someone sees they reached the seventh heaven—such a place even imagination can’t reach—and they did not return, it means their death is near and their end will be good. If the dreamer is righteous and sees themselves returning to earth, it indicates they will be pious and abstinent in religion. If they are not pious, then it means they will repent from sins or perish.
If one sees they came down from the sky to the earth, it indicates they will reach the brink of destruction due to sorrow and illness, but then recover and be cured.
If they see foundations or a palace-like thing between the sky and earth, and it is not made of bricks or stones, then it indicates the dreamer will become arrogant in knowledge and deeds. If they see the doors of the heavens are open, it indicates that prayers will be accepted that year, rain will fall abundantly, and water will be plentiful. Allah Almighty says: “We opened the gates of the heavens with torrential rain, and caused the earth to gush with springs. The waters met according to a decree.”
If they see faces opened toward all people from the sky, it indicates goodness and blessings for the people—especially his friends. If they see themselves falling from the sky, it indicates the wrath of Allah.
Hazrat Imam Ja’far Sadiq (may Allah have mercy on him) said: If someone sees the sky green in a dream, it indicates goodness, reform, and peace in that land. If white, it indicates sorrow and illness. If red, it indicates war and bloodshed. If black, it indicates a great tribulation will erupt. If the sky is brighter than usual, it indicates the person will gain enlightenment in religion.
If one sees the door of the sky open next to them, it means doors of sustenance and good will open for them, and they will be a scholar and wise person, and many people will benefit from them. If they see red pillar-like signs in the sky, it means the righteous in that region will be helped. If they see they are worshipping the sky, it means they will become faithless and astray.
Hazrat Ismail Ash’ath (may Allah have mercy on him) said: If someone sees things falling like rain from the sky again, it indicates that a harsh punishment will fall on that region. Allah says: “And We rained upon them stones of baked clay.” If they see wheat and barley falling from the sky, it indicates uncountable blessings, peace, and livelihood will be granted to the people of that land.
آسمان
حضرت دانیال علیہ السلام نے فرمایا ہے: ” اگر کوئی شخص خواب میں اپنے آپ کو پہلے آسمان میں دیکھے تو دلیل ہے کہ اس کی موت نزدیک آئی ہے اور اگر دوسرے آسمان میں دیکھے تو دلیل ہے کہ علم و دانش حاصل کرے گا اور اگر تیسرے آسمان میں دیکھے تو دلیل ہے کہ دنیا میں عزت اور اقبال پائے گا اور اگر چوتھے آسمان میں اپنے آپ کو دیکھے تو دلیل ہے کہ بادشاہ کا دوست اور مقرب ہو گا اور اگر اپنے آپ کو پانچویں آسمان پر دیکھے تو دلیل ہے کہ ہیبت اور ترس اور خوف پائے گا، اگر اپنے آپ کو چھٹے آسمان پر دیکھے تو دلیل اور اگر اپنے پر تو دلیل ہے کہ محبت اور ترس اور خوف پاے گا اگر اپنے آپ کو چھٹے آسان پر لکھے تودلیل ہے کہ بخت اور دولت اور نیکی پائے گا اور اگر اپنے آپ کو پہلے آسمان پر دیکھے اور دروازہ بند پائے تو دلیل ہے کہ اس کے کام کسی بزرگ مرد کی وجہ سے بستہ (رک) ہو جائیں گے اور اگر دیکھے کہ آسمان پر نگاہ نہیں کر سکا ہے اور سر نیچے ڈالا ہوا ہے تو دلیل ہے کہ بزرگ مرد کے دیدار سے علیحدہ ہوگا اگر دیکھے کہ فرشتے آسمان سے اتر کر اس کے پاس سے گزرتے ہیں تو دلیل ہے کہ اس پر علم و حکمت کے دروازے کھل جائیں گے۔
حضرت ابن سیرین رحمتہ اللہ علیہ نے فرمایا ہے کہ اگر کوئی اپنے آپ کو آسمان پر دیکھے تو دلیل ہے کہ سفر کرے گا اور اس میں دنیا کی عزت حاصل ہوگی اور اگر دیکھے کہ آسمان کی فضا میں اڑتا ہے تو دلیل ہے کہ نعمت اور برکت کے ساتھ سفر کرے گا اور اگر دیکھے کہ سیدھا اڑتا جاتا ہے تاکہ آسمان پر پہنچے تو دلیل ہے کہ نقصان اور رنج دیکھے گا۔
اگر دیکھے کہ آسمان پر اس نیت سے گیا ہے کہ پھر زمین پر نہ آئے گا تو دلیل ہے کہ بزرگی اور بادشاہی پائے گا اور بڑا کام کرے گا اور اگر دیکھے کہ آسمان سے بانگ اور آواز سنتا ہے تو خیر اور سلامتی کی دلیل ہے اور اگر دیکھے کہ آسمان سے کوئی پرندہ اس کے ساتھ بات کرتا ہے تو اس امر کی دلیل ہے کہ وہ خوش و خرم رہے گا۔
حضرت کرمانی رحمتہ اللہ علیہ نے فرمایا ہے کہ اگر خواب میں دیکھے کہ وہ آسمان پر عمارت بناتا ہے۔ جیسے زمین پر بناتے ہیں تو دلیل بناتا پر تو ہے کہ اس کی موت قریب ہے اور اگر دیکھے کہ دنیا کی بنیاد کی طرح اینٹ اور مٹی اور کیچ اور اینٹوں سے آسمان پر عمارت بناتا ہے تو اور دنیا بنیاد اور اور دلیل ہے کہ خداوند خواب دنیا میں معذور ہو گا اور اگر دیکھے کہ آسمان سے بارش کی طرح شد برستا ہے تو دلیل ہے کہ لوگوں کو خیر و نعمت اور غنیمت حاصل ہوگی اور اگر دیکھے کہ آسمان سے ریت یا خاک برستی ہے۔ اگر تھوڑی بری ہے تو نیکی ہے۔ اگر بہت بری ہے
تو بری ہے تمر اگر دیکھے کہ آسمان سے بچھو یا سانپ یا پتھر برستے ہیں تو یہ اس امر کی دلیل ہے کہ اس ملک میں عذاب خدا نازل ہو گا اور اگر یا تو یہ میں دیکھے کہ اپنے آپ کو آسمان پر لٹکا دیا ہے تو دلیل ہے کہ اس کا مرتبہ بلند ہو گا۔
حضرت جابر مغربی رحمتہ اللہ علیہ نے فرمایا ہے کہ اگر دیکھے کہ ساتویں آسمان پر گیا ہے۔ ایسی جگہ کہ جہاں وہم بھی نہیں جا سکتا اور نیچے نہیں آیا تو اس امر کی دلیل ہے کہ اس کی موت قریب ہے اور انجام اچھا ہے اور اگر خواب دیکھنے والا نیک اور صالح ہے اور دیکھے کہ نیچے اتر آیا ہے تو دلیل ہے کہ راہ دین میں زاہد اور پرہیز گار ہو گا اور اگر صاحب خواب نیک اور پرہیز گار نہیں ہے تو دلیل
ہے کہ گناہوں سے تو بہ کرے گا یا ہلاک ہو گا۔
اگر دیکھے کہ آسمان سے زمین پر آیا تو دلیل ہے کہ رنج اور بیماری سے ہلاکت تک پہنچے گا اور پھر صحت و شفا پائے گا۔
اگر دیکھے کہ آسمان اور زمین کے درمیان بنیاد تھے یا محل جیسی ہے اور پتھر یا اینٹ کی نہیں ہے تو اس امر کی دلیل ہے کہ صاحب خواب علم و عمل میں مغرور ہو گا اور اگر دیکھے کہ آسمان کے دروازے کھلے ہیں تو دلیل ہے کہ اس سال دعا قبول ہوگی اور بارش بہت ہوگی اور پانی وافر ہوں گے۔ فرمان حق تعالیٰ ہے: ففتحنا ابواب السماء بماء منهمر وفجرنا الأرض بـاعـيـونـنـا التقى الماء على امر قد قدرہ (ہم نے آسمان کے دروازے موسلا دھار پانی سے کھولے اور زمین کے چشمے پھوٹے۔ امر اندازہ کئے ہوئے کے مطابق پانی جمع ہو گیا۔)
اگر دیکھے کہ آسمان کی طرف سے سب لوگوں کی طرف چہرے کھلے ہوئے ہیں تو لوگوں کی خیر اور نعمت پر دلیل ہے۔ خاص کر اس کے دوستوں میں زیادہ اثر خیر ظاہر ہو گا اور اگر خواب میں دیکھے کہ آسمان پر سے گرا ہے تو یہ خدا تعالیٰ کے غصہ کی دلیل ہے۔
حضرت امام جعفر صادق رحمتہ اللہ علیہ نے فرمایا ہے کہ اگر خواب میں آسمان کو سبز دیکھے تو دلیل ہے کہ اس ملک میں خیر و صلاحاور امن ہو گا اور اگر سفید دیکھے تو دلیل ہے کہ اس جگہ رنج اور بیماری ہوگی۔ اور اگر آسمان کو سرخ دیکھے تو دلیل ہے کہ اس ملک میں جنگ اور خوں ریزی ہوگی اور اگر دیکھے کہ آسمان سیاہ ہے تو اس امر کی دلیل ہے کہ اس ملک میں فتنہ عظیم برپا ہوگا اور اگر دیکھے کہ آسمان معمول سے زیادہ روشن ہے تو دلیل ہے کہ اس کو دین میں روشنی حاصل ہوگی۔
اگر دیکھے کہ اس کے برابر آسمان کا دروازہ کھلا ہے تو دلیل ہے کہ خیر اور روزی کا دروازہ اس پر کھلے گا اور عالم اور حکیم ہو گا اور اس سے بہت لوگوں کو روزی پہنچے گی اور اگر آسمان میں سرخ نشان ستونوں جیسے دیکھے تو دلیل ہے کہ اس جگہ کے نیک لوگوں کو نصرت حاصل ہوگی اور اگر دیکھے کہ آسمان کی پرستش کرتا ہے تو دلیل ہے کہ بے دین اور گمراہ ہو گا۔
حضرت اسماعیل اشعث رحمتہ اللہ علیہ نے فرمایا ہے کہ اگر کوئی دیکھے کہ آسمان سے پھر بارش کی طرح آتے ہیں تو اس امر کی دلیل ہے کہ اس موضع میں سخت عذاب پڑے گا۔ فرمان حق تعالیٰ ہے: وامطرنـا عـلـيـهـم حجارة من سجيل (اور ہم
نے ان پر پکی ہوئی مٹی کے پتھر برسائے۔) اور اگر دیکھے کہ آسمان سے گیہوں اور جو برستے ہیں تو اس امر کی دلیل ہے کہ اس ملک میں رنگارنگ کی بے قیاس نعمت اور امن کہ سے اور کسب معاش لوگوں کو حاصل ہوگا۔
Aasman
Hazrat Daniyal Alaihissalam ne farmaya hai: “Agar koi shakhs khwab mein apne aap ko pehle aasman mein dekhe to daleel hai ke us ki maut qareeb aayi hai aur agar doosre aasman mein dekhe to daleel hai ke ilm o danish haasil karega aur agar teesre aasman mein dekhe to daleel hai ke duniya mein izzat aur iqbal paaye ga aur agar chauthe aasman mein apne aap ko dekhe to daleel hai ke badshah ka dost aur muqarrab ho ga aur agar apne aap ko paanchwein aasman par dekhe to daleel hai ke haibat aur tars aur khauf paaye ga, agar apne aap ko chatthe aasman par dekhe to daleel aur agar apne par to daleel hai ke mohabbat aur tars aur khauf paaye ga agar apne aap ko chatthe aasman par likhe to daleel hai ke bakht aur daulat aur neki paaye ga aur agar apne aap ko pehle aasman par dekhe aur darwaza band paaye to daleel hai ke us ke kaam kisi buzurg mard ki wajah se basta (ruk) ho jaayenge aur agar dekhe ke aasman par nigah nahi kar saka hai aur sar neeche dala hua hai to daleel hai ke buzurg mard ke deedaar se alehda hoga agar dekhe ke farishte aasman se utar kar us ke paas se guzarte hain to daleel hai ke us par ilm o hikmat ke darwaze khul jaayenge.
Hazrat Ibn-e-Sireen Rahmatullah Alaih ne farmaya hai ke agar koi apne aap ko aasman par dekhe to daleel hai ke safar karega aur is mein duniya ki izzat haasil hogi aur agar dekhe ke aasman ki faza mein urta hai to daleel hai ke naimat aur barkat ke saath safar karega aur agar dekhe ke seedha urta jaata hai taake aasman par pohanchay to daleel hai ke nuqsaan aur ranj dekhega.
Agar dekhe ke aasman par is niyyat se gaya hai ke phir zameen par na aaye ga to daleel hai ke buzurgi aur badshahi paaye ga aur bara kaam karega aur agar dekhe ke aasman se baang aur awaaz sunta hai to khair aur salaamati ki daleel hai aur agar dekhe ke aasman se koi parinda us ke saath baat karta hai to is amar ki daleel hai ke woh khush o khurram rahega.
Hazrat Kirmani Rahmatullah Alaih ne farmaya hai ke agar khwab mein dekhe ke woh aasman par imarat banata hai jaise zameen par banate hain to daleel hai ke us ki maut qareeb hai aur agar dekhe ke duniya ki bunyaad ki tarah eet aur mitti aur keech aur eeton se aasman par imarat banata hai to daleel hai ke khwab dekhne wala duniya mein mazur ho ga aur agar dekhe ke aasman se barish ki tarah shad barasta hai to daleel hai ke logon ko khair o naimat aur ghanimat haasil hogi aur agar dekhe ke aasman se reet ya khaak barasti hai, agar thodi baray to neki hai agar bohat baray to buri hai. Agar dekhe ke aasman se bichhoo ya saanp ya pathar baraste hain to yeh is amar ki daleel hai ke is mulk mein azaab e Khuda nazil ho ga aur agar dekhe ke apne aap ko aasman par latka diya hai to daleel hai ke us ka martaba buland ho ga.
Hazrat Jabir Maghribi Rahmatullah Alaih ne farmaya hai ke agar dekhe ke saatwein aasman par gaya hai, aisi jagah ke jahan waham bhi nahi ja sakta aur neeche nahi aaya to is amar ki daleel hai ke us ki maut qareeb hai aur anjaam achha hai aur agar khwab dekhne wala nek aur saleh hai aur dekhe ke neeche utar aaya hai to daleel hai ke raah e deen mein zahid aur parheizgar ho ga aur agar sahib e khwab nek aur parheizgar nahi hai to daleel hai ke gunahon se tauba karega ya halaak ho ga.
Agar dekhe ke aasman se zameen par aaya to daleel hai ke ranj aur bimaari se halakat tak pohanche ga aur phir sehat o shifa paaye ga.
Agar dekhe ke aasman aur zameen ke darmiyan bunyaad the ya mahal jaisi hai aur pathar ya eet ki nahi hai to is amar ki daleel hai ke sahib e khwab ilm o amal mein maghroor ho ga aur agar dekhe ke aasman ke darwaze khulay hain to daleel hai ke is saal dua qubool hogi aur barish bohat hogi aur paani waafir honge. Farman e Haq Ta’ala hai: Fa fatahna abwaab as-samaai bimaa’in munhamir, wa fajjarnal arda bi ‘uyoonin, faltaqal maaa’u ‘ala amrin qad qudir. (Hum ne aasman ke darwaze mousla dhaar paani se khole aur zameen ke chashme phootay, aur paani ek muqarrar hukm ke mutabiq jama ho gaya.)
Agar dekhe ke aasman ki taraf se sab logon ki taraf chehray khulay huay hain to logon ki khair aur naimat par daleel hai, khaaskar us ke doston mein zyada asar khair zahir ho ga aur agar khwab mein dekhe ke aasman par se gira hai to yeh Khuda Ta’ala ke ghazab ki daleel hai.
Hazrat Imam Ja’far Sadiq Rahmatullah Alaih ne farmaya hai ke agar khwab mein aasman ko sabz dekhe to daleel hai ke is mulk mein khair o salah aur aman ho ga aur agar safed dekhe to daleel hai ke is jagah ranj aur bimaari hogi aur agar aasman ko surkh dekhe to daleel hai ke is mulk mein jang aur khoon rizi hogi aur agar dekhe ke aasman siyah hai to is amar ki daleel hai ke is mulk mein fitna azeem barpa ho ga aur agar dekhe ke aasman mamool se zyada roshan hai to daleel hai ke us ko deen mein roshni haasil hogi.
Agar dekhe ke us ke barabar aasman ka darwaza khula hai to daleel hai ke khair aur rozi ka darwaza us par khulay ga aur aalim aur hakeem ho ga aur us se bohot logon ko rozi pohanche gi aur agar aasman mein surkh nishan sutoonon jaise dekhe to daleel hai ke is jagah ke nek logon ko nusrat haasil hogi aur agar dekhe ke aasman ki parastish karta hai to daleel hai ke be-deen aur gumrah ho ga.
Hazrat Ismail Ash’ath Rahmatullah Alaih ne farmaya hai ke agar koi dekhe ke aasman se phir barish ki tarah aatay hain to is amar ki daleel hai ke is moza mein sakht azaab paday ga. Farman e Haq Ta’ala hai: Wa amtarna ‘alaihim hijaaratan min sijjeel. (Aur hum ne un par pakki hui mitti ke pathar barsaye.) Aur agar dekhe ke aasman se gehun aur jo baraste hain to is amar ki daleel hai ke is mulk mein rangarang ki be qiyas naimat aur aman haasil ho ga aur kasb e ma’aash logon ko haasil ho ga.