Chaukhat (Doorstep)
Hazrat Ibn Sirin (may Allah have mercy on him) said:
If a person sees in a dream that the threshold of their house has risen high, it indicates that they will gain great wealth, blessings, and honor in rank.
And if they see that the threshold of their house has fallen, it means they will fall from their status and be disgraced among people.
And if they see the threshold of their house pouring clean water towards the rain, it means they will receive a great amount of wealth and blessings.
And if they see snakes and scorpions coming out from their threshold, it indicates they will suffer distress from a king or a ruler.
Hazrat Kirmani (may Allah have mercy on him) said:
If someone sees that the threshold of the house has fallen upon them and they are trapped under it, this is an indication of the fear of their death.
Allah Almighty says: “Fakharr ‘alaihimus saqfu min fawqihim”
(And the ceiling fell upon them from above.)
And if they see that the threshold of their house is decorated with various colors, it indicates that they will live a life in the world with beauty and adornment.
آستانہ (چوکھٹ)
حضرت ابن سیرین رحمتہ اللہ علیہ نے فرمایا ہے: اگر کوئی شخص خواب میں دیکھے کہ اس کے گھر کا آستانہ بلند ہوا ہے تو اس امر کی دلیل ہے کہ وہ بہت زیادہ مال و نعمت اور مرتبے کی بزرگی پائے گا۔
اور اگر دیکھے کہ اس کے گھر کا آستانہ گر گیا ہے تو دلیل ہے کہ وہ اپنے مرتبے سے گرے گا اور لوگوں میں ذلیل ہوگا۔
اور اگر دیکھے کہ اس کے گھر کا آستانہ بارش کی طرف صاف پانی گراتا ہے تو دلیل ہے کہ اسے بہت زیادہ مال و نعمت حاصل ہوگی۔
اور اگر دیکھے کہ اس کے گھر کے آستانہ سے سانپ اور بچھو نکلتے ہیں تو دلیل ہے کہ بادشاہ یا حاکم کی طرف سے اسے رنج پہنچے گا۔
حضرت کرمانی رحمتہ اللہ علیہ نے فرمایا ہے: اگر کوئی شخص دیکھے کہ گھر کا آستانہ اس پر گرا ہے اور وہ خود اس کے نیچے پھنس گیا ہے تو یہ اس کی ہلاکت کے خوف کی دلیل ہے۔
فرمانِ حق تعالیٰ ہے: فَخَرَّ عَلَيْهِمُ السَّقْفُ مِنْ فَوْقِهِمْ
(یعنی ان پر ان کے اوپر سے چھت گر پڑی۔)
اور اگر دیکھے کہ اس کے گھر کا آستانہ کئی طرح کے رنگوں سے منقش ہے تو اس امر کی دلیل ہے کہ وہ دنیا میں زینت و آرائش کے ساتھ زندگی بسر کرے گا۔
Aastana (Chaukhat)
Hazrat Ibn-e-Sireen Rahmatullah Alaih ne farmaya hai agar koi shakhs khwab mein dekhe ke us ke ghar ka aastana buland hua hai to is amar ki daleel hai ke us qadar maal o naimat aur martabe ki buzurgi paaye ga.
Aur agar dekhe ke us ke ghar ka aastana gir gaya hai to daleel hai ke woh apne martabe se gire ga aur logon mein zaleel ho ga. Aur agar dekhe ke us ke ghar ka aastana barish ki taraf saaf paani giraata hai to daleel hai ke us qadar maal aur naimat paaye ga.
Aur agar dekhe ke us ke ghar ke aastana se saanp aur bichhoo nikalte hain to daleel hai ke baadshah se ya haakim se us ko ranj pahunche ga.
Hazrat Kirmani Rahmatullah Alaih ne farmaya hai ke agar koi shakhs dekhe ke ghar ka aastana us par gira hai aur woh khud us ke neeche phans gaya hai to us ki halaakat ke khauf ki daleel hai.
Farman-e-Haq Ta’ala hai: Fakharra ‘alaihimus saqfu min fawqihim (Un par un ke oopar se chhat gir padi)
Aur agar dekhe ke us ke ghar ka aastana kai tarah ke rangon se munqash hai to is amar ki daleel hai ke zeenat aur aaraish ke saath duniya mein apni zindagi basar kare ga.