Voice
Hazrat Ibn-e-Sireen (may Allah’s mercy be upon him) said: If a man’s voice is loud in a dream, it is a sign that he will gain respect among people. And if someone sees that his voice became louder, it indicates elevation in status — his name and voice will rise. And if he sees that his voice became weak, it indicates that his name and voice will be weak, so that no one will remember him.
Hazrat Kirmani (may Allah’s mercy be upon him) said: In a dream, a loud voice for men is a sign of greatness and fame. But for women, seeing a loud voice in a dream is a bad sign.
آواز
حضرت ابن سیرین رحمتہ اللہ علیہ نے فرمایا ہے کہ اگر مرد کی آواز خواب میں بلند ہے تو دلیل ہے کہ لوگوں میں بزرگی پائے گا۔ اور اگر کوئی دیکھے کہ اس کی آواز بلند ہو گئی تھی تو یہ اس کے بلندیِ قدر کی دلیل ہے کہ اس کا نام اور آواز بلند ہو گی۔ اور اگر دیکھے کہ اس کی آواز کمزور ہو گئی تھی تو دلیل ہے کہ اس کا نام اور آواز ضعیف ہو گی۔ چنانچہ کوئی اس کو یاد نہ کرے گا۔
حضرت کرمانی رحمتہ اللہ تعالیٰ علیہ نے فرمایا ہے کہ خواب میں آواز کی بلندی مردوں کے لئے بزرگی اور بلندی نام کی دلیل ہے۔ اور عورتوں کے لئے خواب میں آواز بلند کا دیکھنا برا ہے۔
Awaaz
Hazrat Ibn-e-Sireen Rahmatullah Alaih ne farmaya hai ke agar mard ki awaaz khwab mein buland hai to daleel hai ke logon mein buzurgi paye ga. Aur agar koi dekhe ke uski awaaz buland ho gayi thi to yeh is ke bulandi-e-qadr ki daleel hai ke us ka naam aur awaaz buland ho gi. Aur agar dekhe ke uski awaaz kamzor ho gayi thi to daleel hai ke us ka naam aur awaaz zaeef ho gi. Chunanche koi us ko yaad na kare ga.
Hazrat Kirmani Rahmatullah Ta’ala Alaih ne farmaya hai ke khwab mein awaaz ki bulandi mardon ke liye buzurgi aur bulandi-e-naam ki daleel hai. Aur auraton ke liye khwab mein awaaz buland ka dekhna bura hai.