HomeTo See Ablution vessel- Khwab main (Jug) Aab Dastan (Koza) dekhna

To See Ablution vessel- Khwab main (Jug) Aab Dastan (Koza) dekhna

Ablution Vessel (Jug)

Hazrat Ibn Sirin (R.A) said:
One who sees an ablution vessel in a dream will be a treasurer and a man of planning,
and income and expenses will be in his control.
If he sees that the king has given him a jug,
it is a sign that he will become the king’s treasurer and advisor.
And if he gives it to someone else, the same interpretation applies.

Hazrat Kirmani (R.A) said:
In a dream, the one carrying a jug is a servant.
Allah Almighty says:
“There will circulate among them immortal youths with cups and pitchers…”

If one sees himself drinking water from a jug,
it indicates that he will have a child —
especially if the water is clear and pleasant.

If one sees that his jug breaks or is lost,
it means his wife will separate from him or pass away.

Hazrat Jafar Sadiq (R.A) said:
Seeing a jug in a dream has five meanings:

  1. A servant
  2. A treasurer
  3. A ministry/office
  4. A child
  5. A small provision from an unexpected source

Aab Dastan (Koza)

Hazrat Ibne Sirin Rahmatullah Alaih ne farmaya hai
ke khwab mein aab dast dekhne wala khazana daar saahib-e-tadbeer hoga
ke aamdani aur kharch us ke haath mein hoga.
Aur agar dekhe ke baadshah ne us ko koza diya hai
to daleel hai ke khazanchi aur baadshah ka musheer hoga.
Aur agar kisi ko de to bhi mein qiyaas hai.

Hazrat Kirmani Rahmatullah Alaih ne farmaya hai
ke khwab mein koza bardaar khaadim hoga.
Farman-e-Haq Ta’ala hai:
“Yatoofu ‘alayhim wildaanum mukhalladoon bikuwaabin wa abareeq”
(Bahisht mein un par khaadim kozon aur badanon ke saath tawaaf karenge)

Agar koze se apne aap ko paani peete dekhe
to daleel hai ke us ke haan farzand paida hoga,
khaaskar jab paani saaf aur khush zaaiqa ho.

Agar dekhe ke us ka koza toot gaya
ya zaya ho gaya hai
to daleel hai ke us ki aurat juda ho jaayegi
ya mar jaayegi.

Hazrat Jafar Sadiq Rahmatullah Alaih ne farmaya hai
ke khwab mein koze ka dekhna paanch wajah par hai:

  1. Khaadim
  2. Khazanchi
  3. Wazaarat
  4. Farzand
  5. Aisi jagah se thodi rozi jahan se umeed nahi rakhta
RELATED ARTICLES

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

Most Popular