HomeDeer in dream islam meaning

Deer in dream islam meaning

Khwab mein hiran dekhna ki tabeer

Aahu (Deer)

Hazrat Kirmani (may Allah’s mercy be upon him) said: If someone sees in a dream that they have caught a deer, it is a sign that they will obtain a beautiful maidservant.

If one sees that they have slaughtered the deer from the front, it is a sign that they will obtain a virgin girl. And if they slaughter the deer from behind, it is a sign that they will commit an act of intercourse with the maid contrary to Islamic law. And if they see that they have skinned the deer, it is a sign of committing fornication with a poor woman. And if they eat the skin of the deer, it means they will marry a beautiful woman. And if they eat the skin, meat, or fat of the deer or the deer returns to them, it signifies they will attain a wealthy woman. And if they see that they have killed the deer, it indicates sorrow from a woman.

Hazrat Ibn Sirin (may Allah’s mercy be upon him) said: If one sees they went after a deer and brought it down, it means they will acquire a virgin woman or a maid. If they hunt and bring down a deer during the hunt, it means they will gain spoils of war. If the deer dies in their house, it means they will experience sorrow and grief from a woman. And if they strike the deer with a stone or arrow, it means they will say something inappropriate.

Hazrat Jabir Maghribi (may Allah’s mercy be upon him) said: If someone sees in a dream that they caught a deer with their hand or someone gave it to them, it means they will have a child through a maid.

Hazrat Ja’far al-Sadiq (may Allah’s mercy be upon him) said: Seeing a deer in a dream can mean four things:

  1. Woman
  2. Maid
  3. Child
  4. Benefit from women.

آہو (ہرن)

حضرت کرمانی رحمتہ اللہ تعالیٰ علیہ نے فرمایا ہے کہ اگر کوئی شخص خواب میں دیکھے کہ ہرن کو پکڑا ہے تو دلیل ہے کہ خوب صورت کنیز حاصل کرے گا۔

اگر اس نے دیکھا ہے کہ اس نے ہرن کے گلے کو کاٹا ہے تو دلیل ہے کہ دوشیزہ دختر حاصل ہوگی اور اگر دیکھے کہ ہرن کا پیچھے سے گلا کاٹا ہے تو دلیل ہے کہ کنیز کے ساتھ خلافِ شریعت جماع کرے گا اور اگر دیکھے کہ ہرن کا چمڑا اتارا ہے تو دلیل ہے کہ غریب عورت کے ساتھ زنا کرے گا اور اگر دیکھے کہ ہرن کا چمڑا کھایا ہے تو دلیل ہے کہ اس کو خوبصورت عورت ملے گی اور اگر دیکھے کہ ہرن کا چمڑہ یا گوشت یا چربی کھاتا ہے یا اس کی طرف واپس آئی ہے تو دلیل ہے کہ اس کو مالدار عورت ملے گی اور اگر دیکھے کہ اس نے ہرن کو مارا ہے تو دلیل ہے کہ عورت کی طرف سے غمناک ہو گا۔

حضرت ابن سیرین رحمتہ اللہ تعالیٰ علیہ نے فرمایا ہے کہ اگر دیکھے کہ ہرن کے پیچھے گیا اور اس کو گرایا ہے تو دلیل ہے کہ دوشیزہ عورت یا کنیز حاصل کرے گا اور اگر دیکھے کہ ہرن کو شکار کے وقت گرا لیا ہے تو دلیل ہے کہ مالِ غنیمت پائے گا اور اگر دیکھے کہ ہرن گھر میں مر گیا ہے تو دلیل ہے کہ عورت کی طرف سے اس کو غم و اندوہ پہنچے گا اور اگر دیکھے کہ ہرن کو پتھر یا تیر سے مارا ہے تو دلیل ہے کہ نالائق بات کہے گا۔

حضرت جابر مغربی رحمتہ اللہ علیہ نے فرمایا ہے کہ اگر خواب میں دیکھے کہ ہاتھ سے ہرن کو پکڑا ہے یا اس کو کسی نے دیا ہے تو اس امر کی دلیل ہے کہ اس کو کنیز سے فرزند حاصل ہو گا۔

حضرت جعفر صادق رحمتہ اللہ علیہ نے فرمایا ہے کہ خواب میں ہرن کا دیکھنا چار وجہ پر ہے۔
اوّل: عورت
دوم: کنیز
سوم: فرزند
چہارم: عورتوں سے فائدہ حاصل کرنا۔

Aahu (Hiran)

Hazrat Kirmani Rahmatullah Ta’ala Alaih ne farmaya hai ke agar koi shakhs khwab mein dekhe ke hiran ko pakra hai to daleel hai ke khoobsurat kaneez haasil karega.

Agar us ne dekha hai ke us ne hiran ke galay ko kaata hai to daleel hai ke dosheezah dukhtar haasil hogi aur agar dekhe ke hiran ka peechay se gala kaata hai to daleel hai ke kaneez ke sath khilaf-e-shari’at jima’ karega aur agar dekhe ke hiran ka chamra utaara hai to daleel hai ke ghareeb aurat ke sath zina karega aur agar dekhe ke hiran ka chamra khaya hai to daleel hai ke us ko khoobsurat aurat milegi aur agar dekhe ke hiran ka chamra ya gosht ya charbi khata hai ya us ki taraf wapas aayi hai to daleel hai ke us ko maaldaar aurat milegi aur agar dekhe ke us ne hiran ko maara hai to daleel hai ke aurat ki taraf se ghamnaak hoga.

Hazrat Ibn-e-Sireen Rahmatullah Ta’ala Alaih ne farmaya hai ke agar dekhe ke hiran ke peechay gaya aur us ko giraya hai to daleel hai ke dosheezah aurat ya kaneez haasil karega aur agar dekhe ke hiran ko shikaar ke waqt gira liya hai to daleel hai ke maal-e-ghanimat paayega aur agar dekhe ke hiran ghar mein mar gaya hai to daleel hai ke aurat ki taraf se us ko gham-o-andoh pohanchayega aur agar dekhe ke hiran ko pathar ya teer se maara hai to daleel hai ke nalaaiq baat kahega.

Hazrat Jabir Maghribi Rahmatullah Alaih ne farmaya hai ke agar khwab mein dekhe ke haath se hiran ko pakra hai ya us ko kisi ne diya hai to is amar ki daleel hai ke us ko kaneez se farzand haasil hoga.

Hazrat Jafar Sadiq Rahmatullah Alaih ne farmaya hai ke khwab mein hiran ka dekhna chaar wajah par hai.
Awwal: Aurat
Dom: Kaneez
Som: Farzand
Chaharum: Auraton se faida haasil karna.

RELATED ARTICLES

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

Most Popular