HomeLighting Fire in a dream in islam- Khwab mein Aag Jalana

Lighting Fire in a dream in islam- Khwab mein Aag Jalana

Lighting Fire (Aag Jalana)

Hazrat Ibn-e-Sireen (may Allah have mercy on him) said: To light fire in a dream is a sign of strength for a king. If the fire is without smoke, it is an indication of even greater power. Fire with smoke is a sign of the king’s oppression, sorrow, and loss.

If one lights fire to warm himself or someone else, it means he will seek something and gain benefit from it. But if he sees that he has lit fire without any use, it means he will engage in unnecessary quarrel and dispute.

If he lights fire to roast something, it means he will act for the purpose of backbiting people and to know someone’s state. And if he eats the roasted item, it indicates that he will receive sustenance along with sorrow and grief.

If he sees that he lights fire under a cooking pot and there is meat or something else in it, it means he will do a task that benefits the head of the household. But if there is no food in the pot, it means the task will only bring sorrow and grief.

If he lights fire for illumination, it means he will do work with evidence and reasoning. If he lights fire to make sweets (halwa), it means people will praise him with good words.

Hazrat Ibrahim Kirmani (may Allah have mercy on him) said: If one sees that he lights fire to burn a place, it means he will speak badly and backbite the people of that place. If he lights fire in a clay oven or fireplace without the intention of cooking, it means he will fight with his close relatives.

If he sees that he wants to light fire for his own benefit but the fire does not light, it means he will benefit from his knowledge. If he is a king, then his honor, status, and wealth will increase. If he sees that he lit the fire but it got extinguished, it indicates his destruction.

Hazrat Jabir Maghribi (may Allah have mercy on him) said: If one sees in a dream that he lights fire in a jungle so that people find their way with its light, it means people will benefit from his knowledge and wisdom and follow the right path.

If he sees that the fire is weakening and its light is decreasing, it means the dreamer’s conditions will change and he will leave the world.

If he sees that fire is lit in the jungle but it does not illuminate the path, it means people will be misguided by his knowledge.

If a merchant sees that he lights fire to burn a place and the fire does not burn him, it means he will deal dishonestly in trade and his wealth will be of unlawful (haram) origin.

If he sees that he is taking fire from a neighbor’s house, it means he will receive unlawful wealth.

Khwab Mein Aag Jalana

(آگ کا روشن کرنا)

Hazrat Ibn-e-Sireen Rahmatullah Alaih ne farmaya hai ke khwab mein aag ka roshan karna badshah ko quwwat hai. Agar aag baghair dhuen ke ho to aur zyada quwwat ki daleel hai. Dhuen wali aag badshah ke zulm, gham, aur nuqsaan ki nishani hai.

Agar kisi ne garmi hasil karne ke liye aag roshan ki ya kisi aur ko garam kar diya, to daleel hai ke koi cheez talab karega aur us se faida uthaye ga. Agar dekhe ke befaida aag roshan ki hai to iska matlab hai ke be wajah ladai aur jhagra karega.

Agar kisi cheez ko bhunne ke liye aag roshan ki hai to daleel hai ke logon ki gheebat ke liye koi kaam karega taake kisi ka haal maloom ho. Aur agar us bhuni hui cheez ko khaye to daleel hai ke us qadar rozi usay gham ke saath milegi.

Agar dekhe ke degh ke neeche aag roshan karta hai aur us mein gosht ya koi aur cheez hai to daleel hai ke koi aisa kaam karega jisse sahib-e-khaana ko faida pohanchay ga. Agar degh mein kuch nahi hai to is ka matlab hai ke us kaam se sirf gham aur ranj milega.

Agar roshni ke liye aag jalai hai to matlab hai ke kaam ko daleel aur hujjat ke saath karega. Agar halwa banane ke liye aag jalai hai to log usko neki kehte hain.

Hazrat Ibrahim Kirmani Rahmatullah Alaih ne farmaya hai ke agar dekhe ke kisi jagah ko jalane ke liye aag roshan ki hai to matlab hai ke us jagah ke logon ki badi aur gheebat karega. Agar aag ko bina khana pakane ke tanur ya aatishdaan mein roshan kare to matlab hai ke apne qareebiyon se laday ga.

Agar dekhe ke apne faide ke liye aag roshan karna chahta hai lekin aag nahi jalti to daleel hai ke apne ilm se faida uthaye ga. Agar woh badshah hai to izzat, rutbah aur daulat mein izafa hoga. Agar dekhe ke aag roshan ki lekin bujh gayi to uske halaak hone ki daleel hai.

Hazrat Jabir Maghribi Rahmatullah Alaih ne farmaya hai ke agar khwab mein dekhe ke jungle mein aag roshan ki hai taake log uski roshni se raasta paa lein, to daleel hai ke log uske ilm aur hikmat se faida uthayein ge aur raah-e-raast par aayenge.

Agar dekhe ke aag kamzor ho rahi hai aur uska noor kam ho raha hai to daleel hai ke saahib-e-khwab ke ahwaal badlenge aur woh duniya se rukhast karega.

Agar dekhe ke jungle mein aag roshan ki hai lekin raasta roshan nahi hua to matlab hai ke log uske ilm se gumrah honge.

Agar koi saudagar dekhe ke usne kisi jagah ko jalane ke liye aag roshan ki hai aur aag ne usay nahi jalaya to daleel hai ke woh bad-deeni se tijarat karega aur uska maal haram ka hoga.

Agar dekhe ke woh humsaye ke ghar se aag le raha hai to matlab hai ke usay haram maal naseeb hoga.

RELATED ARTICLES

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

Most Popular