Cloud (Baadal)
Hazrat Daniyal (peace be upon him) said that seeing a cloud in a dream has six reasons. First: white cloud, second: black cloud, third: yellow cloud, fourth: red cloud, fifth: raining cloud, sixth: non-raining cloud. And each has a specific interpretation.
If someone sees himself under a white raining cloud in a dream, it indicates that Allah Almighty will grant him knowledge and wisdom, and people will benefit from it.
And if he sees himself under a yellow cloud, it indicates that he will fall ill, and some interpreters say he will get a woman who will cause him sorrow and grief.
And if he sees himself under a red cloud, it indicates hardship, calamity, and arrest. Because when Allah sent punishment upon a nation, a red cloud appeared first.
And if he sees that the cloud is standing straight over his head, it indicates he will receive governance. And if he sees that the cloud has passed over his head, it indicates that he will be in the company of a virtuous and dignified person and will benefit from him.
Hazrat Ibn Sirin (may Allah’s mercy be upon him) said: if one sees he is moving a cloud in the air, it indicates he will be in the company of scholars and rulers. And if a king sees this dream, it indicates he will send well-informed messengers in his province. And if one sees in a dream that he caught a cloud from the air and brought it to the ground, it indicates he will gain virtue, greatness, and knowledge.
And if he sees the cloud shading over his head, it indicates he will receive abundant blessings and goodness that year. The divine command is:
“And We shaded you with clouds and sent down upon you manna and quails. Eat from the good things We have provided you.”
And if he sees that cloth in the cloud turned black and he wore it, it indicates he will gain such knowledge that no one else possesses. And if he sees that the cloud covered the whole world but did not rain, it is a bad sign.
Hazrat Kirmani (may Allah’s mercy be upon him) said that if one sees he has gathered or lifted or showed a cloud, it indicates that he will be distinguished among wise and intelligent people.
Hazrat Jabir Maghribi (may Allah’s mercy be upon him) said: if one sees he is eating a cloud, it indicates his life will be full of wisdom. And if he sees that a black cloud is gathered in one place, it indicates Allah’s punishment upon that land. And whoever he sees near that cloud is near to divine punishment.
And if he sees rain with the cloud, it indicates mercy and charity.
And if he sees that he is drinking rain from the cloud, it indicates that he will witness as much mercy and goodness. And if with the cloud there is rain and severe thunder, it indicates fear from the prayers of parents and Muslims. And if he sees lightning with thunder, it indicates strong and intense punishments. And if he sees a cloud hovering over his house or place, it indicates that his children and family will gain wisdom and knowledge to the extent of the tightness and darkness of the cloud.
Hazrat Jafar Sadiq (may Allah’s mercy be upon him) said that seeing a cloud in a dream has nine reasons:
First: Wisdom, Second: Leadership, Third: Kingship, Fourth: Mercy, Fifth: Piety, Sixth: Punishment, Seventh: Famine, Eighth: Calamity, Ninth: Trial.
ابر (بادل)
حضرت دانیال علیہ السلام نے فرمایا ہے کہ بادل خواب میں دیکھنا چھ وجہ پر ہے۔ اول: ابر سفید – دوم : ابر سیاه سوم: ابر زرد چهارم: ابر سرخ پنجم: ابر برسنے والا۔ ششم: ابر نہ برسنے والا۔ اور ہر ایک کی تعبیر خاص ہے۔
اگر کوئی خواب میں اپنے آپ کو ابر سفید برسنے والے کے نیچے دیکھے تو دلیل ہے کہ خدا تعالیٰ اس کو علم و حکمت عنایت فرمائے گا اور لوگوں کو اس کے علم و حکمت سے فائدہ ہوگا۔
اور اگر دیکھے کہ ابر زرد کے نیچے ہے تو دلیل ہے کہ بیمار ہو گا اور بعض تعبیر بیان کرنے والے کہتے ہیں کہ عورت پائے گا جس سے رنج و غم اٹھائے گا۔
اور اگر اپنے آپ کو سرخ بادل کے نیچے دیکھے تو محنت اور بلا اور گرفتاری کی دلیل ہے۔ کیونکہ خدا تعالیٰ نے جس قوم پر عذاب بھیجا ہے۔ پہلے اس پر سرخ ابر ظاہر ہوا ہے۔
اور اگر دیکھے کہ بادل سیدھا اس کے سر پر کھڑا ہو گیا ہے تو اس امر کی دلیل ہے کہ حکومت پائے گا اور اگر دیکھے کہ ابر اس کے سر پر سے گزر گیا ہے تو دلیل ہے کہ اس کی صحبت کسی نیک شخص اور اہل مرتبہ سے ہوگی اور اس کی مراد اس سے حاصل ہوگی۔
حضرت ابن سیرین رحمتہ اللہ تعالیٰ علیہ نے فرمایا ہے کہ اگر دیکھے کہ بادل کو ہوا میں چلاتا ہے تو دلیل ہے کہ وہ عالموں اور حاکموں کی صحبت میں رہے گا اور اگر یہ خواب بادشاہ دیکھے تو دلیل ہے کہ اپنی ولایت میں قاصدان باخبر کو بھیجے گا اور اگر خواب میں دیکھے کہ بادل کو ہوا میں سے پکڑ کر زمین پر لے آیا ہے تو دلیل ہے کہ نیکی اور بزرگی اور علم حاصل کرے گا۔
اور اگر دیکھے کہ بادل اس کے سر پر سایہ کرتا ہے تو دلیل ہے کہ اس سال خیر اور نعمت بہت پائے گا۔ فرمان حق تعالی ہے: وظللنا عليكم الغمام وانزلنا عليكم المن والسلوى كلوا من طيبات ما رزقنكم (اور ہم نے تم پر بادل کا سایہ کیا اور تم پر من اور سلواہ اتارا۔ ہم نے جو پاک چیزیں تم کو عنایت کی ہیں کھاؤ۔)
اور اگر دیکھے کہ بادل میں کپڑا سیاہ ہوا تھا اور اس نے پہنا تو دلیل ہے کہ اتنا علم اسے حاصل ہو گا جو کسی کو نہ ہو گا۔ اور اگر دیکھے کہ ابر نے تمام جہان کو ڈھانپا ہے اور برسا نہیں ہے تو یہ بری دلیل ہے۔
حضرت کرمانی رحمتہ اللہ تعالی علیہ نے فرمایا ہے کہ اگر دیکھا ہے کہ بادل کو جمع کیا یا اٹھایا یا دکھایا تو اس امر کی دلیل ہے کہ وہ حکماء عقل و دانش سے ممتاز ہو گا۔
حضرت جابر مغربی رحمتہ اللہ تعالی علیہ نے فرمایا ہے کہ اگر دیکھے کہ ابر کو کھا رہا ہے تو دلیل ہے کہ اس کی زندگی حکمت سے ہوگی اور اگر دیکھے کہ ابر سیاہ ایک جگہ پر گھرا ہوا ہے تو یہ اس ملک پر حق تعالیٰ کے عذاب کی دلیل ہے۔ جس کو ابر کے نزدیک دیکھے گا وہ
عذاب حق کے نزدیک ہو گا اور اگر ابر کے ساتھ بارش کو دیکھے تو دلیل رحمت اور خیرات کی ہے۔
اور اگر دیکھے کہ بادل سے بارش کو پیتاہ ہے کہ اسی قدر رحمت اور نیکی دیکھے گا اور اگر بادل کے ساتھ بارش اور سخت کڑک ہے تو یہ ماں باپ اور مسلمانوں کی دعا سے ڈرنے کی دلیل ہے اور اگر کڑک کے ساتھ بجلی دیکھے تو یہ سخت قوی عذابوں کی دلیل ہے اور اگر اپنے گھر اور جگہ پر ابر چھایا ہوا دیکھے تو دلیل ہے کہ اس کے فرزند اور اہل بیت کو بادل کی تنگی اور تاریکی کے اندازے پر
دانش اور حکمت حاصل ہوگی۔
حضرت جعفر صادق رحمتہ اللہ علیہ نے فرمایا ہے کہ بادل خواب میں دیکھنا تو وجہ پر ہے۔ اول: حکمت دوم: ریاست سوم: بادشاہی چهارم: رحمت پنجم: پرہیز گاری ششم: عذاب ہفتم قحط ۔ ہشتم: بلا۔ نم: فتنه
Abar (Baadal)
Hazrat Daniyal Alaihis Salam ne farmaya hai ke baadal khwab mein dekhna chay wajah par hai. Awwal: abar safed – دوم : abar siyah – سوّم: abar zard – chaharum: abar surkh – panjum: abar barsne wala – shashum: abar na barsne wala. Aur har aik ki tabeer khaas hai.
Agar koi khwab mein apne aap ko abar safed barsne wale ke neeche dekhe to daleel hai ke Khuda Ta’ala us ko ilm o hikmat inayat farmaye ga aur logon ko us ke ilm o hikmat se faida ho ga.
Aur agar dekhe ke abar zard ke neeche hai to daleel hai ke beemar ho ga aur baaz tabeer bayan karne wale kehte hain ke aurat paaye ga jis se ranj o gham uthaye ga.
Aur agar apne aap ko surkh baadal ke neeche dekhe to mehnat aur bala aur giraftari ki daleel hai. Kyunke Khuda Ta’ala ne jis qaum par azaab bheja hai, pehle us par surkh abar zahir hua hai.
Aur agar dekhe ke baadal seedha us ke sar par khara ho gaya hai to is amar ki daleel hai ke hukoomat paaye ga aur agar dekhe ke abar us ke sar par se guzar gaya hai to daleel hai ke us ki sohbat kisi naik shakhs aur ahl-e-martaba se hogi aur us ki muraad us se hasil hogi.
Hazrat Ibn-e-Sireen Rahmatullah Ta’ala Alaih ne farmaya hai ke agar dekhe ke baadal ko hawa mein chalata hai to daleel hai ke woh aalimon aur haakimon ki sohbat mein rahe ga aur agar yeh khwab badshah dekhe to daleel hai ke apni wilayah mein qaasidan ba-khabar ko bheje ga aur agar khwab mein dekhe ke baadal ko hawa mein se pakar kar zameen par le aaya hai to daleel hai ke neki aur buzurgi aur ilm haasil kare ga.
Aur agar dekhe ke baadal us ke sar par saya karta hai to daleel hai ke us saal khair aur ne’mat bohat paaye ga. Farman-e-Haq Ta’ala hai:
“Wa zallalna ‘alaikum al-ghamaama wa anzalna ‘alaikum al-manna wa as-salwa, kulu min tayyibati ma razaqnakum.”
(aur hum ne tum par baadal ka saya kiya aur tum par man aur salwa utara. Hum ne jo paak cheezein tum ko inayat ki hain khao.)
Aur agar dekhe ke baadal mein kapra siyah hua tha aur us ne pehna to daleel hai ke itna ilm usay haasil ho ga jo kisi ko na ho ga. Aur agar dekhe ke abar ne tamam jahan ko dhaanpa hai aur barsa nahi hai to yeh buri daleel hai.
Hazrat Kirmani Rahmatullah Ta’ala Alaih ne farmaya hai ke agar dekha hai ke baadal ko jama kiya ya uthaya ya dikhaya to is amar ki daleel hai ke woh hukama aqal o danish se mumtaz ho ga.
Hazrat Jabir Maghribi Rahmatullah Ta’ala Alaih ne farmaya hai ke agar dekhe ke abar ko khaa raha hai to daleel hai ke us ki zindagi hikmat se hogi aur agar dekhe ke abar siyah aik jagah par ghira hua hai to yeh us mulk par Haq Ta’ala ke azaab ki daleel hai. Jis ko abar ke qareeb dekhe ga woh azaab-e-Haq ke qareeb ho ga.
Aur agar abar ke saath barish ko dekhe to daleel rehmat aur khairaat ki hai.
Aur agar dekhe ke baadal se barish ko peeta hai to usi qadr rehmat aur neki dekhe ga aur agar baadal ke saath barish aur sakht kadak hai to yeh maan baap aur Musalmanon ki dua se darne ki daleel hai aur agar kadak ke saath bijli dekhe to yeh sakht qawi azaabon ki daleel hai aur agar apne ghar aur jagah par abar chhaya hua dekhe to daleel hai ke us ke farzand aur ahl-e-bait ko baadal ki tangi aur tareeki ke andazay par danish aur hikmat haasil hogi.
Hazrat Jafar Sadiq Rahmatullah Alaih ne farmaya hai ke baadal khwab mein dekhna nau wajah par hai:
Awwal: hikmat – دوم: riyaasat – سوم: badshahi – chaharum: rehmat – panjum: parhezgaari – shashum: azaab – haftum: qehat – hashtum: bala – nuhm: fitna