Eyebrows
Hazrat Ibn-e-Sireen (may Allah have mercy on him) said that seeing eyebrows in a dream signifies religion. If one sees in a dream that his eyebrows are full and without flaw, it is a sign that his adornment is complete and perfect. And if he sees that his eyebrows have fallen off, then its interpretation is contrary to the former.
Hazrat Kirmani (may Allah have mercy on him) said that if one sees that he has no eyebrows or their hair has fallen off, then it indicates that he will intend something which will bring disgrace and corruption in his religion. And if he sees the opposite, then it is a sign that he will intend something that will bring good reputation and reform in his religion. If he sees that his eyebrows have turned white, it signifies that his knowledge and patience will increase, but he will suffer a financial loss.
Hazrat Jabir Maghribi (may Allah have mercy on him) said that if he sees one eyebrow fallen and the other uprooted, it indicates that there will be a loss in his wealth and status. And some say that the falling and uprooting of eyebrows indicates the loss of the beauty of religion.
آبروہا (بھویں)
حضرت ابن سیرین رحمتہ اللہ تعالیٰ علیہ نے فرمایا ہے کہ ابرو کا خواب میں دیکھنا دین ہے۔ اگر خواب میں دیکھے کہ اس کے ابرو پورے بے نقصان ہیں تو دلیل ہے کہ اس کی زینت پوری اور کامل ہے اور اگر دیکھے کہ اس کے ابرو گر گئے ہیں تو اس کی تاویل پہلے کے خلاف ہے۔
حضرت کرمائی رحمتہ اللہ تعالیٰ علیہ نے فرمایا ہے کہ اگر دیکھے کہ ابرو نہیں ہیں یا ان کے بال گر گئے ہیں تو اس امر کی دلیل ہے کہ ایک چیز کا ارادہ کرے گا جس سے اس کے دین میں بدنامی اور فساد ہو گا اور اگر اس کے خلاف دیکھے تو دلیل ہے کہ کسی چیز کا قصد کرے گا۔ جس سے نیک نامی اور دین کی اصلاح ہوگی۔ اگر دیکھے کہ اس کے ابرو سفید ہو گئے ہیں تو دلیل ہے کہ اس کا علم اور تحمل زیادہ ہو گا، لیکن مال کا نقصان ہو گا۔
حضرت جابر مغربی رحمتہ اللہ تعالیٰ علیہ نے فرمایا ہے کہ اگر ایک ابرو کو گرا ہوا دیکھا اور دوسری کو اکھڑا ہوا دیکھا تو دلیل ہے کہ اس کے مال اور مرتبے میں نقصان پڑے گا اور بعض کہتے ہیں کہ دین کی زینت کے نقصان پر ابرو کا گرنا اور اکھڑنا دلیل ہے۔
Aabruha (Bhoowain)
Hazrat Ibn-e-Sireen Rehmatullah Ta’ala Alaih ne farmaya hai ke abroo ka khwab mein dekhna deen hai. Agar khwab mein dekhe ke us ke abroo poore be nuqsaan hain to daleel hai ke us ki zeenat poori aur kaamil hai. Aur agar dekhe ke us ke abroo gir gaye hain to is ki ta’weel pehle ke khilaaf hai.
Hazrat Kirmaani Rehmatullah Ta’ala Alaih ne farmaya hai ke agar dekhe ke abroo nahi hain ya un ke baal gir gaye hain to is amar ki daleel hai ke ek cheez ka iraada karega jis se us ke deen mein badnaami aur fasaad hoga. Aur agar is ke khilaaf dekhe to daleel hai ke kisi cheez ka qasd karega jis se nek naami aur deen ki islaah hogi. Agar dekhe ke us ke abroo safed ho gaye hain to daleel hai ke us ka ilm aur tahammul zyada hoga, lekin maal ka nuqsaan hoga.
Hazrat Jabir Maghribi Rehmatullah Ta’ala Alaih ne farmaya hai ke agar ek abroo ko gira hua dekha aur doosri ko ukhaRa hua dekha to daleel hai ke us ke maal aur martabe mein nuqsaan padega. Aur baaz kehte hain ke deen ki zeenat ke nuqsaan par abroo ka girna aur ukhaRna daleel hai.