Hazrat Ibn Sirin (R.A) said:
If someone sees water flowing in an inappropriate place, it indicates the dreamer will be sorrowful and in debt.
If it flows in its correct place, it indicates freedom from debt and relief from grief.
And if the dreamer is wealthy, it means loss of wealth.
Hazrat Daniyal (A.S) said:
If one sees water flowing in an unknown place, it means he will receive a woman from that area or purchase a slave-girl.
If blood is seen flowing instead of water, it indicates loss.
And if pus is seen flowing as water, it means a sick child will be born.
Some interpreters say the flowing of water represents unlawful wealth.
And if one drinks from such flowing water, it means he will consume unlawful wealth.
Hazrat Kirmani (R.A) said:
If one sees water flowing into a well, it means he will receive lawful wealth.
If he sees the water crying (gushing), it means a newborn will arrive.
If a little water spills and some remains, it means he will lose some wealth and be relieved from some sorrow and grief.
And if people wipe with that water, it means a learned and wise child will be born to him and people will follow him.
Hazrat Jabir Maghribi (R.A) said:
If water is seen flowing in a mosque, it means he will store wealth, but not for himself.
And if his clothes become wet from that flow, it means he will gather wealth for his children.
As Hazrat Jafar Sadiq (R.A) said:
Seeing water flowing in its proper place is a sign of wealth.
For the poor: slaves will be freed, the sick will recover, the imprisoned will be freed,
the traveler will return, rulers will be dismissed, the caliph will die, judges will be removed, and merchants will suffer loss.
Hazrat Ismail Ash’ath (R.A) said:
If one sees water flowing in his house in a dream, it means he will store wealth for his children,
but he will be compensated for it.
Allah Almighty says:
“And whatever you spend, He will replace it; and He is the best of providers.”
Hazrat Ibne Sirin Rahmatullah Ta’ala Alaih ne farmaya hai:
Agar koi paani ko ghair mahal mein daurta dekhe to is amar ki daleel hai ke saahib-e-khawab ghamgeen aur qarzdaar hoga.
Aur agar apni jagah par dekhe to qarz se nijaat aur gham se khushi dekhega.
Aur agar dekhne wala maaldaar hai to maal ka nuqsaan hoga.
Hazrat Daniyal A.S ne farmaya hai:
Agar naamaloom jagah par paani daurta dekhe to is amar ki daleel hai ke saahib-e-khawab us mouza ke ahl se aurat paayega ya baandi khareedega.
Aur agar paani ki jagah jagah khwab mein khoon daurta hua dekhe to yeh us ke nuqsaan ki daleel hai.
Aur agar paani ki peep daurtay hue dekhe to daleel hai ke us ke yahan beemar bacha hoga.
Baaz ahl-e-taabeer bayaan karte hain ke paani ka daurna haraam maal ki daleel hai.
Aur agar paani daurtay hue ko piye to daleel hai ke haraam maal khaye ga.
Hazrat Kirmani R.A ne farmaya hai:
Agar kunwen mein paani daurtay hue dekhe to daleel hai ke kisi se maal-e-halaal paaye ga.
Aur agar paani roolta dekhe to daleel hai ke farzand jaan baala aayega.
Aur agar dekhe ke thora paani gir gaya hai aur thora paas raha hai to yeh hai ke thora maal jaaye ga aur kuch andoh aur gham us se juda hoga.
Aur agar dekhe ke is paani se log masah karte hain to daleel hai ke us ke yahan farzand-e-aalim aur daana aayega aur log us ke taabedaar honge.
Hazrat Jabir Maghribi R.A ne farmaya hai:
Agar masjid mein paani daurtay dekhe to daleel hai ke apne maal ko khazaana karega lekin apne liye nahi.
Aur agar dekhe ke paani ki daur se us ka kapra tar ho gaya hai to daleel hai ke apna maal apne farzand ke liye jama karega.
Kyun ke Hazrat Jafar Sadiq R.A ne farmaya hai ke apni jagah mein paani daurtay hue dekhna maaldari ki daleel hai.
Un ke liye ke jo darwaish hain: ghulaam aazaad hoga, beemar shifa paaye ga, qaidi nijaat paaye ga, musaafir watan ko aaye ga, haakim ma’zul hoga, khalifa marega, qaazi ma’zul hoga aur saudagar nuqsaan uthayenge.
Hazrat Ismail Ash’as R.A farmaate hain:
Agar khwab mein apne ghar mein paani ko daurtay hua dekhe to daleel hai ke apna maal apni aulaad ke liye khazaana karega,
lekin us ke ewaz aur paaye ga.
Farman-e-Haq Ta’ala hai: “وَمَا أَنفَقْتُم مِّن شَىْءٍۢ فَهُوَ يُخْلِفُهُ ۖ وَهُوَ خَيْرُ ٱلرَّٰزِقِينَ”
Aur jo cheez tum kharch karo woh phir aaye gi, aur woh sab se barh kar rizq dene wala hai۔