HomeTo see Fire in Dream- Khwab main Aag Dekhna

To see Fire in Dream- Khwab main Aag Dekhna

Hazrat Daniyal (peace be upon him) said: If one sees fire without smoke in a dream, it is a sign that he will be close to kingship and his pending matters will be fulfilled. And if one sees that someone has thrown him into fire and burned him, then it means that a king will oppress him, but he will soon be freed and will receive glad tidings and goodness. As the command of Allah the Almighty states: “We said: O fire, be coolness and peace upon Ibrahim.”

If one sees in a dream that fire has not burned him, then it is a sign that he will travel unwillingly. If he sees blazing fire, it is a sign that he will become ill due to fever. And if he sees that the fire has burned his body, it indicates that he will face distress and loss according to the degree of burning.

If one sees that his house is on fire and his whole body is burned and the fire is blazing, and he does not feel fear or terror in his heart, then it indicates that due to hardship and trouble, illness and toil will come to him—such as cold, plague, blisters, and measles.

If he sees that he has caught the fire, then it indicates he will get unlawful wealth from the king. If the fire has smoke, it is a sign that he will gain unlawful wealth through hardship and trouble and will see many disputes. If he feels heat and burning from the fire, it is a sign that someone is backbiting him.

Hazrat Kirmani (may Allah have mercy on him) said: If someone sees in a dream that he throws flames of fire upon people, it indicates that he will create hatred and enmity among people. And if a merchant sees in a dream that his shop and goods have caught fire, then it indicates that his goods will be destroyed or he will sell a one-dirham item for three dirhams and will not show mercy to anyone.

If one sees that someone’s house is on fire, it indicates that the person will fall into war, turmoil, and oppression from the king. And if he sees that fire has burned his clothes, it means he will fight with his own people and be sorrowful because of wealth. If one sees a great fire on land, it is a sign that there will be war and conflict in that place.

If one sees a burnt item, it is a sign that he will fight with someone because of a woman. If one sees that fire has erupted in a city, palace, or inn and has burned everything, and the fire blazes and emits a terrifying sound, it indicates that calamity or severe illness will strike that place.

If fire has burned some items and left others and does not emit a terrifying sound, it indicates that there will be a fight in that area. If the flames are not bright, then severe illness will prevail. If fire is seen with smoke, it means he will experience fear and terror in his works.

If fire falls from the sky and burns the city or place, it is a sign that a calamity or turmoil will descend upon that city or area. If the fire falls with terrifying sounds and blazes but does not spread flames where it lands, then it means verbal disputes and chaos will arise in that place.

If fire emerges from beneath the ground and rises to the sky, it indicates that people of that area will fight the beloved servants of Allah with lies and slander, according to the intensity of the fire.

If one sees fire spreading uncontrollably from place to place but not harming anyone, it is a sign that the dreamer will gain benefit. If he is poor, he will become wealthy.

Hazrat Ash’ath (may Allah have mercy on him) said: If someone sees in a dream that fire is raining down from the sky like rain, it means bloodshed and calamity will come from rulers in that place. If fire descends from the sky and burns his food, it means his worship is accepted by Allah the Almighty. As Allah says: “With a sacrifice consumed by fire.”

If fire comes from the sky and burns nothing, it is a sign of fear of Allah the Almighty. As He says: “The fire of torment that you used to deny.” He will fear the king.

If he sees himself above a large fire, it indicates that he will be close to a great king. If one sees that he sets something on fire, it means all his worldly and religious affairs will be completed.

If he sees fire descending on the land and burning its greenery, it indicates that many sudden deaths will occur in that country. If he sees that a large fire has burned a dome or minaret, it means the king of that place will die.

Some interpreters say that if someone sees fire rising from the earth and lighting up, it indicates that a treasure will be found there.

Hazrat Ja’far Sadiq (may Allah have mercy on him) said: If one sees himself eating pieces of fire in a dream, it means he is consuming the wealth of orphans. As Allah says: “Those who unjustly consume the property of orphans, they eat fire into their bellies, and soon they will enter the blazing fire.”

If fire is coming out of his mouth, it indicates he tells lies and slanders. If he sees fire burning from his mouth in all directions, it means he continues to fabricate lies. If the fire is burning, it indicates he will act as a messenger between people and rulers.

If he sees a flame near his side and it causes no harm, it indicates he will receive blessings. As Allah says: “Have you seen the fire which you kindle?”

If he sees a large fire burning wood, it is a sign of turmoil and war. As Allah says: “Every time they kindle a fire for war.”

If fire is burning people, it means he will gain victory over his enemies. If fire has burned him and there was no light in it, it means he will be sick with meningitis. If he sees light in that fire, it means someone among his relatives or children will have a child, and people will praise him. He will gain honor and wealth according to the light of that fire.

If he sees fire in a battlefield, it indicates severe illnesses like blisters, plague, meningitis, and sudden death—God forbid.

If fire is seen with smoke, it indicates fear from the king. If fire is seen in a market, it shows the impiety of the market people who do not act justly in trade and lie in their dealings.

If fire is seen burning in a country, it indicates that the people there will fight the king, and oppression will befall the subjects.

If fire is seen in an unknown month, it signifies impiety. If fire is seen burning someone’s clothes, it means the person will face calamity, terror, and fear. If he sees himself standing in fire, it indicates he will suffer distress.

Khwab Mein Aag Dekhna Aatish Dekhna

Hazrat Daniyal Alaihissalam ne farmaya hai ke agar khwab mein aag baghair dhuen ke dekhe to daleel hai ke badshahi ke qareeb hoga aur basta kaam poore honge. Aur agar dekhe ke us ko kisi ne aag mein gira kar jala diya hai to daleel hai ke badshah us par zulm karega lekin jaldi khulasi paaye ga aur basharat aur neki paaye ga. Chunanche farman-e-Haq Ta’ala hai: “Qulna ya naaru kooni bardan wa salaman ‘ala Ibraheem.”

Agar khwab mein dekhe ke aag ne us ko jalaya nahi hai to daleel hai ke karaahat ke saath safar karega. Aur agar aag ko bhadakta hua dekhe to daleel hai ke tap se beemar hoga. Aur agar dekhe ke aag ne us ka jism jala diya hai to daleel hai ke jalan ke mutabiq us ko ranj o nuqsan pohanchega.

Agar dekhe ke us ke ghar mein aag lagi hai aur us ke sare jism ko jala diya hai aur bhadakti hai aur us ke dil mein ahl se khauf aur dehshat nahi aayi to daleel hai ke us ko mehnat aur museebat ke sabab beemari aur sanat aayegi jaise sardi, taa’oon, aabla aur surkha waghera.

Agar dekhe ke aag ko pakar liya hai to daleel hai ke usi qadr badshah se maal-e-haram milega. Agar dekhe ke aag dhuwan daar hai to daleel hai ke us ko maal-e-haram mehnat aur ranj se milega aur bohat sa jhagra dekhega. Agar dekhe ke us ko aag se garmi aur tapish pohanchti hai to daleel hai ke koi shakhs us ki gheebat karta hai.

Hazrat Kirmani Rahmatullah Alaih ne farmaya hai ke agar koi khwab mein dekhe ke aag ke sholay logon par daalta hai to daleel hai ke logon mein adawat aur dushmani daalega. Aur agar saudagar khwab mein dekhe ke us ki dukaan aur samaan ko aag lagi hai to is amar ki daleel hai ke us ka samaan barbad hoga ya ek dirham ki cheez teen dirham ko farokht karega aur kisi par shafqat nahi karega.

Agar dekhe ke kisi ke ghar mein aag lagi hai to is amar ki daleel hai ke woh aadmi jang aur fitna aur badshah ke zulm mein giraftar hoga. Aur agar dekhe ke aag ne us ka kapra jala diya hai to daleel hai ke apnon ke saath ladega aur maal ke sabab se ghamnaak hoga. Agar koi badi aag zameen par dekhe to daleel hai ke us mouzaa par jang aur fitna hoga.

Aur agar koi jali hui cheez dekhe to daleel hai ke auraton ki wajah se kisi ke saath ladega. Agar dekhe ke kisi shehar ya mahal ya saraaye mein aag lagi hai aur sab kuch jala diya hai aur aag shola maarti hai aur awaaz khaufnaak deti hai to daleel hai ke us jagah mein karzaar ya sakht beemari padegi.

Agar dekhe ke aag ne kuch cheezen jala di hain aur kuch chhor di hain aur khaufnaak awaaz nahi deti hai to is amar ki daleel hai ke us mouzaa mein ladai hogi. Aur agar sholay roshan nahi hain to sakht beemari padegi. Aur agar aag ko dhuen ke saath dekhe to daleel hai ke apne kaamon mein darr aur dehshat dekhega.

Agar dekhe ke aag aasman se giri aur us ne shehar ya jagah ko jala diya hai to is amar ki daleel hai ke us shehar par bala aur fitna padega. Aur agar dekhe ke khaufnaak awaaz thi aur aag sholay maarti thi lekin jis jagah padi hai sholay nahi maare hain to is amar ki daleel hai ke us jagah zabaani jhagra aur fasaad hoga.

Agar dekhe ke zameen ke neeche se khaufnaak aag nikli hai aur aasman ki taraf gayi hai to daleel hai ke us jagah ke log Khuda Ta’ala ke pyaroon ke saath is aag ki taqat ke mutabiq jhoot aur buhtaan ke saath ladai ladenge.

Aur agar dekhe ke aag be tahasha jagah jagah ja rahi hai aur woh aag kuch takleef nahi deti hai to daleel hai ke saahib-e-khwab faida haasil karega aur agar darvesh hai to maaldaar hoga.

Hazrat Ash’ath Rahmatullah Ta’ala Alaih ne farmaya hai ke agar koi shakhs khwab mein dekhe ke aag aasman se baarish ki tarah baras rahi hai to daleel hai ke us jagah par badshahon ki taraf se khoon rizi aur bala aayegi. Aur agar dekhe ke aasman se aag aayi aur us ke khane ki cheezon ko jala diya to daleel hai ke us ki ibaadaat Haq Ta’ala ke nazdeek maqbool hui hai. Farman-e-Haq Ta’ala hai: “Bi qurbaanin taakuluhun naar.”

Agar dekhe ke aasman se aag aa rahi hai aur kisi cheez ko nahi jalati hai to yeh daleel Haq Ta’ala ke khauf ki hai. Farman-e-Haq Ta’ala hai: “Azaban naaril lati kuntum biha tukazziboon.”

Aur us ko badshah se khauf hoga. Agar dekhe ke badi aag par hai to is amar ki daleel hai ke ek buzurg badshah ke qareeb hoga. Agar dekhe ke koi cheez aag par lagata hai to daleel hai ke deen aur duniya ka shughul tamaam hoga.

Agar dekhe ke aag zameen par utri aur zameen ki sabzi ko jalati hai to daleel hai ke is mulk mein Khuda na khaasta nagahani maut bohat aayegi. Agar dekhe ke ek badi aag ne qubbah ya minarah ko jala diya hai to is amar ki daleel hai ke us jagah ka badshah marega.

Baaz tabeer bayan karne wale kehte hain ke agar koi dekhe ke aag zameen se nikal kar roshan hui hai to daleel hai ke us jagah khazaana hoga.

Hazrat Jafar Sadiq Rahmatullah Alaih ne farmaya hai ke agar khwab mein dekhe ke aag ke tukray khata hai to is amar ki daleel hai ke yateemon ka maal khata hai. Farman-e-Haq Ta’ala hai: “Allazeena yaakuloona amwaal al-yataama zulman innama yaakuloona fi butoonihim naaran wa sayaaslowna sa’eera.”

Agar dekhe ke us ke munh se aag nikalti hai to is amar ki daleel hai ke jhooti baat aur buhtaan lagata hai. Aur agar dekhe ke har jagah aag ke us ke munh se jalti hai to is amar ki daleel hai ke jhooti baat banata jaata hai. Agar dekhe ke aag jala rahi hai to daleel hai ke ri’aya aur badshahi logon mein eilchi ka kaam karega.

Aur agar dekhe ke us ke pehlu mein aag roshan hai aur koi nuqsan nahi karti hai to daleel hai ke us ko neki pohanchegi. Farman-e-Haq Ta’ala hai: “Afara’aytumun naaral lati tooroon.”

Agar dekhe ke badi aag lakriyon ko jalati hai to fitna aur jang par daleel hai. Farman-e-Haq Ta’ala hai: “Kullamaa auqadoo naaran lil harb.”

Agar dekhe ke aag logon ko jalati hai to daleel hai ke us ko dushmanon par fatah hogi. Aur agar dekhe ke aag ne us ko jala diya aur us mein roshni nahi thi to daleel hai ke marz sar-sam se beemar hoga. Aur agar us aag mein noor dekhe to daleel hai ke us ke khwaishon aur farzandon mein se kisi ke yahan bacha aayega ke log us ki tareef karein ge. Aur us noor-e-aatish ke barabar buzurgi aur maal paaye ga.

Agar razmgaah mein aag dekhe to yeh sakht beemariyon ki daleel hai jaise aabla, taa’oon, sar-sam, marg-e-na-gahani waghera. Khuda na khaasta.

Agar aag ko dhuen ke saath dekhe to is amar ki daleel hai ke us ko badshah se darr aur khauf hoga. Agar aag ko bazaar mein dekhe to yeh bazaar walon ki bay-deeni ki daleel hai ke bazaar wale tijarat mein insaaf nahi karte hain aur khareedi hui cheezon mein jhoot bolte hain.

Agar kisi mulk mein aag lagi hui dekhe to daleel hai ke wahan ke log badshah ke saath ladte hain aur is se ri’aya par zulm hota hai.

Agar na maaloom maheenay mein aag dekhe to bay-deeni ki daleel hai. Agar kisi ke kapdon ko aag lagi hui dekhe to daleel hai ke us par museebat aur dehshat aur khauf padega. Aur agar apne aap ko aag par khara hua dekhe to is amar ki daleel hai ke us ko ranj pohanchega.

RELATED ARTICLES

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

Most Popular